• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bhatka Hua Khayal Hai Uqba Kahen Jise

Bhatka Hua Khayal Hai Uqba Kahen Jise

riyaz-khairabadi

bhatka hua khayal hai uqba kahen jise

bhula hua sa khvab hai duniya kahen jise

dekhe shab-e-firaq men koi to ham dikhaen

dil ka vo daagh chand ka tukda kahen jise

zalim ki aarzu ne jagah li hai is tarah

dil men chhupa hua koi kanta kahen jise

in aarsi ke dekhne valon ko kya parakh

achchha hai vo hasin ham achchha kahen jise

gulzar men vo phuul hai jis ka hai naam mai

zahid vo sard baagh hai miina kahen jise

vaqif nahin vo roz-e-qayamat ke tuul se

vaada kiya hai vaada-e-farda kahen jise

hasil agar hui bhi to hasil nahin hai kuchh

be-e’tibar chiiz hai duniya kahen jise

itni to ho bayan men vaaiz shaguftagi

ham rind sun ke qulqul-e-mina kahen jise

ahl-e-haram men ja ke bina aaj shaikh-e-vaqt

kafir ‘riyaz’ pir-e-kalisa kahen jise

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tum Hamare Nahin to Kya Gham Hai

poet

Zulmat-E-Dahr Ka Ehsan Utara Jae

shabnam-shakeel

Ab Mujhko Kya Khabar Wo Yahan Hai Bhi Ya Nahin

azra-naqvi

Khwab-Jangal

poet

Ghup KHamoshi Jaise Qabristan Mein Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet