jag men aa kar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
jaan se ho gae badan khali
jis taraf tu ne aankh bhar dekha
naala fariyad aah aur zaari
aap se ho saka so kar dekha
un labon ne na ki masihai
ham ne sau sau tarah se mar dekha
zor ashiq-mizaj hai koi
‘dard’ ko qissa mukhtasar dekha
Leave a Reply