bahut girya karogi jante hain
hamen tum kya kahogi jante hain
hamari hi buri lagti thi tum ko
abhi sab ki sunogi jante hain
abhi to faslon ke lutf luuTo
kabhi sar bhi dhunogi jante hain
hamari to kaTegi kashmakash men
chahak tum bhi uThogi jante hain
baha kar ashk saari raat goya
ki sub.h hans kar milogi jante hain
chali aana akela-pan lage to
kahan kab tak rahogi jante hain
Leave a Reply