nairang-e-jahan rang-e-tamasha hai to kya hai
har ek qadam aag ka dariya hai to kya hai
ham dil ke musahib hain har ik baat pe raazi
ik moḌ ghalat raah men aaya hai to kya hai
sau rang ke dariyaon ka paani hai nazar men
ab badiya-paima.i-e-sahra hai to kya hai
ik dhund hai manzar se ziyada pas-e-manzar
ik vahm par dil vala-o-shaida hai to kya hai
ji len ki na ji paa.e ye hasrat to na hogi
qismat men fana harf-e-navishta hai to kya hai
Leave a Reply