paanv padta hua rasta nahin dekha jaata
jaane vaale tira jaana nahin dekha jaata
teri marzi hai jidhar ungli pakad kar le ja
mujh se ab tere alava nahin dekha jaata
ye hasad hai ki mohabbat ki ijara-dari
darmiyan apna bhi saaya nahin dekha jaata
tu bhi ai shakhs kahan tak mujhe bardasht kare
baar baar ek hi chehra nahin dekha jaata
ye tire chahne vaale bhi ajab hain janan
ishq karte hain ki hota nahin dekha jaata
ye tere baad khula hai ki judai kya hai
mujh se ab koi akela nahin dekha jaata
Leave a Reply