La Ek KHum-E-Sharab Ki Mausam KHarab Hai

lā ik ḳhum-e-sharāb ki mausam ḳharāb hai

kar koī inqalāb ki mausam ḳharāb hai

zulfoñ ko be-ḳhudī kī ridā meñ lapeT de

saaqī pa.e-shabāb ki mausam ḳharāb hai

jām-o-subū ke hosh Thikāne nahīñ rahe

mutrib uThā rubāb ki mausam ḳharāb hai

ġhunchoñ ko e’tibār-e-tulū-e-chaman nahīñ

ruḳh se ulaT naqāb ki mausam ḳharāb hai

ai jaañ! koī tabassum-e-rañgīñ kī vārdāt

phīkā hai māhtāb ki mausam ḳharāb hai

Leave a Comment