ghubar-e-rah ke manind rahguzar men hain
hamara kya hai bhala ham bhi kis shumar men hain
agar vo ghair ke hathon men khelte hain to kya
ham apne aap bhi kab apne ikhtiyar men hain
hamara alam-e-hasrat bhi hai ajiib ki ham
guzar gae hain jo din un ke intizar men hain
zamana apni hadon se nikal ke phail gaya
aur ek ham ki abhi apne hi hisar men hain
ye apna shahr andheron ka shahr hai shayad
bade azaab yahan raushni se pyaar men hain
vo jan-e-bazm gaya raunaqen tamam huiin
ye log kis liye baithe hain kis khumar men hain
ajab fazaen hain ‘nikhat’ khula na kuchh ham par
ye apna ghar hai ki maidan-e-kar-zar men hain
Leave a Reply