junun ko rakht kiya khaak ko libada kiya
main dasht dasht bhatakne ka jab irada kiya
main nasehan ki sunta huun aur talta huun
so qurb-e-husn chhuta aur na tark-e-bada kiya
mahakte phuul sitare damakta chand dhanak
tire jamal se kitnon ne istifada kya
hazar rang men jalva-numa tha husn-o-jamal
dil aur shokh hua us ko jitna saada kiya
vo de raha tha talab se siva sabhi ko ‘khayal’
so main ne daman-e-dil aur kuchh kushada kiya
Leave a Reply