bahut mushkil hai tark-e-arzu rabt-ashna ho kar
guzar ja vadi-e-pur-ḳhar se bad-e-saba ho kar
laga doge tamanna ke safine ko kinare se
ma.az-allah dava-e-ḳhuda.i na-ḳhuda ho kar
har ik ho silsila rangin gunahon ke salasil ka
nahin asan duniya se guzarna parsa ho kar
miri pinha.i-e-ilm-o-ḳhabar ki intiha ye hai
ki ik qatre se na-vaqif huun dariya-ashna ho kar
kahan tab-e-juda.i ab to ye mahsus hota hai
ki main ḳhud se juda ho ja.unga tum se juda ho kar
tira dar chhoḌ duun lekin tire dar ke siva saaqi
kahan ja.un kidhar ja.un zamane se ḳhafa ho kar
jo shikva un se karna tha vo un ke ru-ba-ru ‘darshan’
zaban tak aate aate rah gaya harf-e-dua ho kar
Leave a Reply