khatm hai badal ki jab se saebani dhuup men
aag hoti ja rahi hai zindagani dhuup men
chand ki aghosh men hone se jis ka hai vajud
khil sakegi kya bhala vo rat-rani dhuup men
us ki furqat ki tapish men main jhulas kar rah gai
varna itni taab kab thi asmani dhuup men
kuchh chamakta sa nazar aane laga hai ret men
badh rahi hai mere qadmon ki ravani dhuup men
ek saaya saath mere ham-safar ban kar mira
likh raha hai phir koi taaza kahani dhuup men
Leave a Reply