dhyan men kaun darinda hai jo bedar hua
main kisi bu ki jalan pa ke ḳhabar-dar hua
baagh ki samt se aati hai hava sahmi hui
kaun is habs ke mausam men sadakar hua
us jazire ki taraf soch-samajh kar jaana
jo tire mauj men aane se numudar hua
tum ko lagta hai ki asan hai duniya-dari
kar-e-duniya men paTa huun to vafadar hua
is badan par bhi mira kaam dikha.i dega
aur vo kaam ki jaise koi shahkar hua
us ne har soch ki zambil ulaT kar rakh di
aur main ḳhvab dikhane ka saza-var hua
Leave a Reply