• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Ishq Ka Len Nam Hawas Aam Nahin Hai

Kya Ishq Ka Len Nam Hawas Aam Nahin Hai

kya ishq ka len naam havas aam nahin hai

andhon ko andhere men koi kaam nahin hai

tha jaam to is aas pe baiThe the ki mai aa.e

mai aa.i to rindon ke liye jaam nahin hai

jiite ho to jiine ka evaz ziist se mango

maut apna muqaddar hai ye in.aam nahin hai

kaT ja.egi ye raat guzaro kisi karvaT

ab sub.h se pahle to koi shaam nahin hai

jiite the ki sar-e-dosh pe tha bar-e-garan tha

marte hain ki sar par koi ilzam nahin hai

yaan raushani-e-sub.h to vaan nik.hat-e-gul hai

yuun husn-e-gurezan ka koi naam nahin hai

ḳhud vaqt ko milta hai sukun teri gali men

sunte hain vahan gardish-e-ayyam nahin hai

saaya huun magar mehr-e-daraḳhshan se hai nisbat

zulmat huun par andhon se mujhe kaam nahin hai

‘baqar’ se nahin izzat-e-sadat pe kuchh harf

ashiq to bana phirta hai badnam nahin hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sae Mein Aablon Ki Jalan Aur baDh Gai

faiz-ahmad-faiz

Hum Sada Hi Aise The Ki Yun Hi Pazirai

Ai Ishq Tu Ne Waqif-E-Manzil Bana Diya

abdullah-javed

Jo Guzarta Hai Guzar Jae Ji

Dil-Paron Ki Hum Jo Nigahbani Karte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet