vahshat men bhi rukh janib-e-sahra na karenge
jab tak ki tumhen shahr men rusva na karenge
ghabra gae betabi-e-dil dekh ke ai jaan
thahro to abhi hijr men kya kya na karenge
mar jaun to mar jaun bura manen to manen
phir kaise masiha hain jo achchha na karenge
vo husn men kamil hain to ham sabr men yakta
ta umr kabhi zikr bhi un ka na karenge
chhup chhup ke kahenge jo chhupane ke sukhan hain
ham tum se kisi baat ka parda na karenge
badnami se darte ho abas ishq men ai ‘barq’
kab tak bashar is baat ka charcha na karenge
Leave a Reply