kuchh aur rang main tartib-e-khushk-o-tar karta
zamin bichha ke hava odh ke basar karta
gul o shaguft ko aapas men dastaras deta
aur aaine ke liye aaina sipar karta
charagh-e-kohna hatata fasil-e-murda se
giyah-e-kham pe shabnam dabiz-tar karta
vo niim nan-e-khunuk aab aur sag-e-ham-nam
main zer-e-sabz-shajar apna mustaqar karta
vo jis se shahr ki divar be-navishta hai
main us ki shakh-e-tahayya ko be-samar karta
main chumta hua ik ahd-nama-e-mansukh
kisi qadim samundar men rahguzar karta
Leave a Reply