ḳhud ko is tarah aaj shaad karen
tum ko bhulen tumhin ko yaad karen
tum se milna nahin qayamat tak
faisla ye bhi aaj saad karen
rang kitne hain tere chehre ke
kis havale se tujh ko yaad karen
kar ke ehsan ham pe nahaq hi
ham se vabasta vo mafad karen
aag ghar ki unhen bhi yaad rahe
shahr men jo kabhi fasad karen
aaj ḳhud se zara si der milen
aaj puuri chalo murad karen
yaad men ek marne vaale ki
aaj mahfil ka in.iqad karen
Leave a Reply