aalam men agar ishq ka bazar na hota
koi kisi bande ka kharidar na hota
hasti ki kharabi nazar aati jo adam men
us khvab se hargiz koi bedar na hota
kahta hai tujhe khaak na duun ghair-e-aziyat
ye dil men agar thi to mira yaar na hota
malum kise thi ye tiri khana-kharabi
main janta aisa to giraftar na hota
aalam ko jalati hai tiri garmi-e-majlis
marte ham agar saya-e-divar na hota
ai shaikh agar kufr se islam juda hai
pas chahiye tasbih men zunnar na hota
zalim mire hasid ki to shadi thi isi men
yaani mujhe dar tak bhi tire baar na hota
dete tiri majlis men agar raah ‘fughan’ ko
us shakhs se hargiz koi be-zar na hota
Leave a Reply