• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq-E-Sitam-Parast Kya Husn-E-Sitam-Shiar Kya

Ishq-E-Sitam-Parast Kya Husn-E-Sitam-Shiar Kya

ishq-e-sitam-parast kya husn-e-sitam-shi.ar kya

ham bhi unhin ke hain to phir apna bhi e’tibar kya

ishrat-e-zist ki qasam ishrat-e-musta.ar kya

gham bhi jo mustaqil na ho gham ka bhi e’tibar kya

miTti hui hayat kya luTti hui bahar kya

ya.ani qarib-e-sub.h-e-gham sham.a ka e’tibar kya

yaad se un ki kaam rakh dard ka ehtimam rakh

maut bhi aa hi ja.egi maut ka intizar kya

baḌhti rahengi ta-ba-kai ahl-e-junun ki vahshaten

chhupte rahenge vo pas-e-a.ina-e-bahar kya

qimat-e-ka.enat kya un ki nigah-e-naz men

fitna-e-hashr ke liye fitna-e-rozgar kya

rah-e-daraz jabr hai kahte hain jis ko zindagi

rah-e-daraz-e-jabr men manzil-e-iḳhtiyar kya

itna bhi intizar-e-dost haa.e ye e’tibar-e-dost

ai dil-e-be-qarar-e-dost dost pe iḳhtiyar kya

ishq se sar-garan na ho husn se bad-guman na ho

jis ke liye ḳhizan na ho us ke liye bahar kya

yaad men teri pa liya main ne sukun-e-zindagi

ab tiri yaad men mujhe chain kya qarar kya

meri nazar se dekhiye apna jamal-e-be-misal

chashm-e-bahar-saz men a.ina-e-bahar kya

meri vafa vafa nahin un ki jafa jafa nahin

haa.e usi ka naam hai alam-e-e’tibar kya

‘basit’-e-figar ki yaad bhi kya na aa.egi

ab na sunenge ham-vatan nala-e-be-qarar kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ai Meri Jaan-E-Arzu Mane-E-Iltifat Kya

Main Gharq Wahan Pyas Ke Paikar Ki Tarah Tha

abdussalam-asim

Ashaar Mein Mafhum Fasane Mein Kahani

poet

Meri Lau Lagi Hai Tujhse Gham-E-Zindagi miTa De

Lagi Hai bhiD baDa Mai-Kade Ka Nam Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet