Guman Tha Ya Teri KHushbu Yaqin Ab Bhi Nahin

gumāñ thā yā tirī ḳhushbū yaqīn ab bhī nahīñ

nahīñ havā pe bharosa to kuchh ajab bhī nahīñ

khileñ to kaise khileñ phuul ujaaḌ sahrā meñ

sahāb-e-ḳhvāb nahīñ girya-e-talab bhī nahīñ

hañsī meñ chhup na sakī āñsuoñ se dhul na sakī

ajab udāsī hai jis kā koī sabab bhī nahīñ

Thahar gayā hai mire dil meñ ik zamāne se

vo vaqt jis kī sahar bhī nahīñ hai shab bhī nahīñ

tamām umr tire iltifāt ko tarsā

vo shaḳhs jo hadaf-e-nāvak-e-ġhazab bhī nahīñ

gilā karo to vo kahte haiñ yuuñ raho jaise

tumhāre chehroñ pe āñkheñ nahīñ haiñ lab bhī nahīñ

mufāhamat na kar arzāñ na ho bharam na gañvā

har ik nafas ho agar ik salīb tab bhī nahīñ

burā na maan ‘ziyā’ us kī sāf-goī kā

jo dard-mand bhī hai aur be-adab bhī nahīñ

Leave a Comment