khvab ka izn tha taabir-e-ijazat thi mujhe
vo samay aisa tha marne men suhulat thi mujhe
ek be-barg shajar dhund men lipta hua tha
shakh par baithi duaon ki zarurat thi mujhe
raat masjid men andhera to bahut tha lekin
yaad bhuli si koi rah-e-ibadat thi mujhe
ai miri jaan vahi ‘ghalib’ ki si halat thi miri
tere jaane ki ghadi thi ki qayamat thi mujhe
dastan-go ne dikha di thi mujhe shahzadi
aur phir khvab men chalne ki bhi aadat thi mujhe