rula.en abr ko gulshan ko be-bahar karen
tiri udasiyan aalam ko sogvar karen
dikha.en aa.ina us ko jo aankh se mahrum
ab aa.ine ke tasavvur ko sharmsar karen
jo samne hain unhen to main dekh sakta huun
magar vo log jo pichhe se mujh pe vaar karen
kisi chaTan se lipTen hararaten mangen
talab ki zarb se paida na.e sharar karen
likhen lahu se falak ke basit kaghaz par
anokhe Dhang se hamd-o-sana-e-yar karen
Leave a Reply