in ankhon men ka.i sapne ka.i arman the lekin
sukut-e-lab ki tah men kis qadar tufan the lekin
aqidat kab thi isnad-e-shu.ur-e-fahm ki qaa.il
hujum-e-shahr ka kuchh parsa iman the lekin
rasa.i manzil-e-maqsud tak mumkin si lagti thi
ba-zahir agahi ke marhale asan the lekin
laga kar un ko dil se main safar karta raha barson
vo kuchh lamhe jo mere hauslon ki jaan the lekin
agarche kuchh nigahen tiir barsati rahin paiham
agarche kuchh ravayye ba.is-e-nuqsan the lekin
qalam un par uThana chahta tha main ba-har-surat
mire charon taraf bikhre hue unvan the lekin
umur-e-saltanat takrar-e-adab-e-shahanshahi
murassa ḳhvab-gahen masnaden dalan the lekin
ye tahriren ye tasviren ye sab qisse ye sab chehre
mire guzre hue ayyam ki pahchan the lekin
kabhi ham dar-ba-dar bhi maan ki aqlim-e-mohabbat ke
sarir-ara.i mutlaq baḳht-var sultan the lekin
Leave a Reply