bhuul kar tujh ko bhara shahr bhi tanha dekhun
yaad aa jaae to khud apna tamasha dekhun
muskurati hui in ankhon ki shadabi men
main tiri ruuh ka tapta hua sahra dekhun
itni yaden hain ki jamne nahin paati hai nazar
band ankhon ke darichon se main kya kya dekhun
vaqt ki dhuul se uthne lage qadmon ke nuqush
tu jahan chhod gaya hai vahi rasta dekhun
yuun to bazar men chehre hain hasin ek se ek
koi chehra to haqiqat men shanasa dekhun
Leave a Reply