dariya ka chaḌhav bandh lena
sailab men naav bandh lena
shahron ke ghubar uḌ rahe hain
sahra ki havao bandh lena
barish men phira huun shab hui hai
zulfon ki ghaTao bandh lena
zaḳhmon ki numa.ishen nahin ḳhuub
ye ziist ke ghaav bandh lena
amada-e-sarkashi hain jazbat
mere qarib aao bandh lena
aalam ki ragen si TuTti hain
jismon ke khinchav bandh lena
kyuun ruḳh pe hava.iyan uḌi hain
phir ham se lagav bandh lena
Leave a Reply