rasta chahiye dariya ki faravani ko
hai agar zo.am to le rok le tughyani ko
aa.ina TuuT gaya shakl ke zarre bikhre
kya chhupata hai ab is dasht ki virani ko
ab-yari jo hui hai to shajar bhi honge
tu ne samjha tha ghalat ḳhuun ki arzani ko
le ye tufan tiri dahliz tak aa pahuncha hai
barf samjha tha usi Thahre hue paani ko
suraḳh-ru huun ki main is aag se kundan nikla
sho.ala-e-ḳhun ne ujala miri peshani ko
main utar aaya huun us paar jahan maut nahin
mil gaya jism-numa ruuh ki uryani ko
vaqi.a aam hua dhuup ki kirnon ki tarah
dekh le haath laga kar miri tabani ko
phir na.i fasl ka mausam hai dua kar ‘shahid’
abr sairab kare ḳhitta-e-barani ko
Leave a Reply