dil bhar aa.e aur abr-e-dida men paani na ho
ye zamin sahra dikha.i de jo barani na ho
shauq itna sahal kyuun us paar le jaa.e mujhe
phir palaT aa.uun agar dariya men tughyani na ho
kaan bajte hain hava ki siTiyon par rat-bhar
chaunk uThta huun ki aahaT jani-pahchani na ho
ho ga.e be-ḳhud to Tison ka maza chhin ja.ega
rokta huun dard ki itni faravani na ho
tere hone se mire dil men hai yadon ki chamak
chand bujh jaa.e agar suraj men tabani na ho
Dhanp le miTTi se tan apna agar maqdur ho
pairahan kaisa agar ehsas-e-uryani na ho
ji raha huun main ki auron se bhi hai vabastagi
maut aa jaa.e agar koi pareshani na ho
Daal de ‘shahid’ shafaq par raat ki kaali rida
mere darvaze se zahir ghar ki virani na ho
Leave a Reply