hunar nahin jo havaon ke par katarne ka
rahega ḳhauf hamesha hi bujh ke marne ka
ham a.inon ke muḳhatab na ho sakenge kabhi
hamen to ḳhatra hai apna naqab utarne ka
vafa ki raah pe marna bhi tha mujhe manzur
koi to hoga sabab mere ab mukarne ka
daraḌ baḌhti hai baḌh jaa.e bad-gumani ki
irada mera bhi un se na baat karne ka
baheliye ki kahani se hi Dare taa.ir
raha na hausla un men uḌaan bharne ka
na us ne dil se mujhe rokne ki koshish ki
na mere paas samay tha vahan Thaharne ka
safed hone lagin hain hamari bhi qalamen
nishan paḌne laga vaqt ke guzarne ka
falak se rahh-numa.i ‘dinesh’ ne ki thi
saval uThta kahan zulmaton se Darne ka
Leave a Reply