• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Buto Kuchh Had Bhi Hai Jaur-O-Jafa Ki

Buto Kuchh Had Bhi Hai Jaur-O-Jafa Ki

poet

buto kuchh had bhi hai jaur-o-jafa ki

hai aḳhir intiha har ibtida ki

jagah kya ho in ankhon men haya ki

bhari ho jin men shoḳhi intiha ki

shab-e-gham aane men karti hai ghamze

ada bhati nahin mujh ko qaza ki

mira dil le ke ab mujh par ye zulm aah

dagha ki tu ne o zalim dagha ki

maza hai mai-kashi ka abr men aaj

falak parchha.i hai rahmat ḳhuda ki

buton ki mehrbani kya karam kya

inayat chahiye mujh par ḳhuda ki

tujhe o bevafa chaha hui chuuk

tujhe dil ne diya main ne ḳhata ki

ye kyon uḌta hai chehre ka mire rang

hui kis shoḳh ko hajat hina ki

vo lenge jaan bhi vaan le ke ik din

ḳhabar thi ibtida men intiha ki

chala dil kucha-e-gesu ko jis dam

dua ki paḌh ke dam radd-e-bala ki

ga.e the vo jahan ham DhunDh lete

madad milti jo un ke naqsh-e-pa ki

dil-e-muztar ki kuchh halat na puchho

taḌap bijli men hai aaj intiha ki

jab aate hain chaḌha jaate hain do phuul

vo turbat par ‘fahim’-e-mubtala ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

faiz-ahmad-faiz

Ashgabad Ki Sham

poet

Baba Gandhi

poet

Ye dil Wo Hai Ki Ghamon Se Jise Faragh Nahin

Hai Mashaqqat Meri Inam Kisi Aur Ka Hai

baiTha Nahin Hun Saya-E-Diwar Dekh Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet