• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har talKH Haqiqat Ka Izhaar Bhi Karna Hai

Har talKH Haqiqat Ka Izhaar Bhi Karna Hai

har talḳh haqiqat ka iz.har bhi karna hai

duniya men mohabbat ka parchar bhi karna hai

be-ḳhvabi-e-paiham se bezar bhi karna hai

basti ko kisi surat bedar bhi karna hai

dushman ke nishane par kab tak yunhi baiThenge

ḳhud ko bhi bachana hai aur vaar bhi karna hai

shaffaf bhi rakhna hai gulshan ki fazaon ko

har barg-e-gul-e-tar ko talvar bhi karna hai

kanTon se ulajhne ki ḳhvahish bhi nahin rakhte

phulon se mohabbat ka iz.har bhi karna hai

is jurm ki nauiyyat ma.alum nahin kya hai

inkar bhi karna hai iqrar bhi karna hai

hone bhi nahin dena bohran koi paida

moqif pe hamen apne israr bhi karna hai

tai lamhon men kar Dalen sadiyon ka safar lekin

is raah ko ai ‘ruhi’ hamvar bhi karna hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pahle Itna to Mera Haal Kabhi Zar Na Tha

Kya KHabar Thi Ek Din Ye Hadisa Ho Jaega

poet

Munh Se Jo Milaiye Kisi Ko

poet

Chaman Wahi Hai Ghataen Wahi Bahaar Wahi

Shahidon Ka Tere Shohra Zamin Se Aasman Tak Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet