main to baiTha tha har ik shai se kinara kar ke
vaqt ne chhoḌ diya dost tumhara kar ke
baat dariya bhi kabhi ruk ke kya karta tha
ab to har mauj guzarti hai ishara kar ke
vo ajab dushman-e-jan tha jo mujhe chhoḌ gaya
mere andar hi kahin mujh ko saf-ara kar ke
ik diya aur jalaya hai sahar hone tak
shab-e-hijran tire naam ek sitara kar ke
jab se jaagi hai tire lams ki ḳhvahish dil men
rahna paḌta hai mujhe ḳhud se kinara kar ke
dasht chhanega tiri ḳhaak mohabbat se ‘sa.id’
ishq dekhega tujhe saare ka saara kar ke
Leave a Reply