• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hogi Wo dil Mein Jo Thani Jaegi

Hogi Wo dil Mein Jo Thani Jaegi

riyaz-khairabadi

hogi vo dil men jo thani jaegi

kya hamari baat maani jaegi

dhal chuki hai ab javani jaegi

ye sharab-e-arghavani jaegi

baad-e-tauba atish-e-sayyal-e-khum

mere ghar se ho ke paani jaegi

khizr yunhi gum rahenge umr-bhar

yunhi umr-e-javedani jaegi

tegh hi kya haath men qatil ke thi

ai hina tu bhi to saani jaegi

aae taare hijr ki shab kuchh nazar

ab bala-e-asmani jaegi

arsh par hai khush-jamalon ka mizaj

kyuun kar un ki lan-tarani jaegi

khidmat-e-maikhana kar le varna shaikh

raegan ye zindagani jaegi

maut se bad-tar budhapa aaega

jaan se achchhi javani jaegi

shokhiyan kahti hain khul khelenge vo

ab haya ki pasbani jaegi

aag ban kar jaam men aaegi mai

zamzami men ho ke paani jaegi

bosa-e-gesu se hain chin-ba-jabin

rat-bhar kya sargirani jaegi

bole sun kar dil ke pamali ka haal

kis gali ki khaak chhani jaegi

jaan se badh kar ise rakhte aziiz

kya samajhte the javani jaegi

saath laae hain qafas se na-tavan

jaate jaate na-tavani jaegi

naale karna siikh le ai andalib

ab ye tarz-e-naghma-khvani jaegi

shaikh ne mangi hai apni umr ki

mai-kade se ab purani jaegi

ja chuke hain aap kal dushman ke ghar

aaj marg-e-na-gahani jaegi

piine aaen to farishta-khu ‘riyaz’

huur ke daman men chhani jaegi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wahin Par Mera Sim-Tan Bhi to Hai

shabnam-shakeel

dur Hua Ibham Kahani Khatm Hui

Hafiz Shirazi

Murgh-e-dilam Tayare-Ast Qudsi-e-Arsh Aashiyan

Jab Jab Tumhein Bhulaya Tum Aur Yaad Aae

afroz-rizvi

Jin Ke Raston Se Sada Maine Hatae Patthar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet