na jaane rabt-e-masarrat hai kis qadar gham se
khabar khushi ko mili bhi to chashm-e-pur-nam se
zaban kholiye khalvat men be-hijabana
chhupai jaati hai kab dil ki baat mahram se
kisi ki yaad men kya kya na ham pe biit gai
jahan ne di thi jo fursat zara hamen gham se
shuur-e-shana-kashi dekhiye unhen kab aae
mizaj-e-zist hai vabasta zulf-e-barham se
fareb-e-dost na khate to aur kya karte
yahi to rasm chali aa rahi hai aadam se
ye aaj kaun si taqsir ho gai ‘nami’
ki dost bhi to milate nahin nazar ham se