jo kuchh ki tu ne sar pe mire dilruba kiya
dil hi vo janta hai kahun kya main kya kiya
mat puchh ah-e-ishq ke khuban ke kya kiya
rusva kiya kharab kiya mubtala kiya
yaaro kahe rakhe huun main daava na kijiyo
qatil ko apne main ne ba-hal khun-baha kiya
mulzim kiya hai aah kisi ne mujhe ba-aks
aina-ru ka apne main jis se gila kiya
ban baithta hai muft mire ji ka muddai
izhar us se dil ka main jab muddaa kiya
be-mehri teri kya kahun ai sang-dil ki chuur
mujh dil ka shisha tu ne ba-sang-e-jafa kiya
us bin na qibla samjhun na qibla-numa ko main
qibla use dil apne ko qibla-numa kiya
malta hai ai nigar kaf-e-pa kuun apne aah
kya tu ne mere khuun ko rang-e-hina kiya
ye chashm-dasht tujh se ‘jahandar’ ko na thi
jo ghair ke liye use tu ne jafa kiya
Leave a Reply