namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab men huun
khuda ki yaad aae kis tarah se buton ke qahr-o-itab men huun
sharab ka shaghl ho raha hai baghal men paata huun main kisi ko
main jagta huun ki so raha huun khayal men huun ki khvab men huun
na chhed is vaqt mujh ko zahid nahin ye mauqaa hai guftugu ka
savar jaata hai vo sharabi main hazir us ki rikab men huun
kabhi sharabi kabhi namazi kabhi huun main rind-gah zahid
khuda ka dar hai buton ka khatka ajab tarah ke azaab men huun
qayamat aane ka khauf kaisa taraddud-o-fikr kyuun hai ‘agha’
hisab kya koi mujh se lega bata to main kis hisab men huun
Leave a Reply