• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har ghaDi Qayamat Thi Ye Na Puchh Kab Guzri

Har ghaDi Qayamat Thi Ye Na Puchh Kab Guzri

har ghaḌi qayamat thi ye na puchh kab guzri

bas yahi ghanimat hai tere baad shab guzri

kunj-e-gham men ik gul bhi likh nahin saka puura

is bala ki tezi se sarsar-e-tarab guzri

tere gham ki ḳhushbu se jism o jaan mahak uTThe

saans ki hava jab bhi chhu ke mere lab guzri

ek saath rah kar bhi duur hi rahe ham tum

dhuup aur chhanv ki dosti ajab guzri

jaane kya hua ham ko ab ke fasl-e-gul men bhi

barg-e-dil nahin larza teri yaad jab guzri

be-qarar be-kal hai jaan sukun ke sahra men

aaj tak na dekhi thi ye ghaḌi jo ab guzri

bad-e-tark-e-ulfat bhi yuun to ham jiye lekin

vaqt be-tarah biita umr be-sabab guzri

kis tarah tarashoge tohmat-e-havas ham par

zindagi hamari to saari be-talab guzri

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adil-mansuri

Sitara So Gaya Hai

poet

Awwal To Main Rukta Nahin Aur Jis Se Rukun Main

poet

Bim-O-Raja Mein Qaid Har Ek Mah-O-Sal Hai

Tujhe Gar Pas-E-Ghairat Ai Sitamgar Ho Nahin Sakta

Husn Ka Ek Aah Ne Chehra niDhaal Kar Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet