rudad-e-gham men DhunDiye lutf-e-bayan nahin
ye to hadis-e-dil hai koi dastan nahin
shikva nahin gila nahin ah-o-fughan nahin
apna jo haal hai vo kisi par ayaan nahin
apna yaqin kabhi bhi asir-e-guman nahin
ai shaiḳh un ke mere koi darmiyan nahin
ai dil jafa-e-ahl-e-jahan se na ho malul
in ki raza jo ho to musibat garan nahin
kya DhunDhta hai is men gham-o-ranj ke siva
ye meri dastan hai tiri dastan nahin
ishq-e-sitam samajh ke zara ai nigah-e-dost
ye tera imtihan hai mira imtihan nahin
hairan huun vahan main kahun kya zaban se
‘asi’ nigah dil ki jahan tarjuman nahin
Leave a Reply