na khud-sari men hasin roz-o-shab guzara kar
zamin-e-dil pe kabhi paanv bhi pasara kar
kinare lag gai mere bhi shauq ki kashti
mire rafiq tu ab shauq se kinara kar
kisi ke hijr men tasvir ban gaya huun main
hasin shaam ke manzar mujhe nihara kar
yahi hai lutf ana ka yahi hai dildari
ki baziyon ko kabhi jiit ke bhi haara kar
nikal koi to surat ki fasle na rahen
qarib aa mire ya phir mujhe ishara kar
tiri sadaen kabhi raegan na jaengi
vo sun raha hai yahi soch ke pukara kar
husul-e-amn-o-mohabbat ki chashni ke liye
mizaj-e-talkhi-e-dauran ‘sukhan’ gavara kar
Leave a Reply