dil miT gaya to ḳhair zarurat nahin rahi
hasrat ye rah ga.i hai ki hasrat nahin rahi
ye dil badal gaya ki zamana badal gaya
ya teri aankh men vo muravvat nahin rahi
teri nazar ke saath badalta raha hai dil
do roz bhi to ek si halat nahin rahi
tar-damani se haath na dho ai dil-e-hazin
kya ab ḳhuda ki josh pe rahmat nahin rahi
dekhega ḳhvab men bhi na vo surat-e-sukun
jis ko ḳhuda se chashm-e-inayat nahin rahi
un ki gali nahin hai na un ka harim hai
jannat bhi mere vaste jannat nahin rahi
kis shab taḌap taḌap ke na kaaTi tamam shab
kis roz mere ghar pe qayamat nahin rahi
‘nadir’ na aa.e harf tumhari zaban par
vo sher kya hai jis men fasahat nahin rahi
Leave a Reply