Kuchh Phul the Kuchh Abr Tha Kuchh Baad-E-Saba Thi

kuchh phuul the kuchh abr thā kuchh bād-e-sabā thī

kuchh vaqt thā kuchh vaqt se bāhar kī fazā thī

kuchh rañg the kuchh dhuup thī kuchh dahshat-e-anjām

kuchh saañs the kuchh saañs meñ ḳhushbū-e-fanā thī

kuchh rañg-e-shafaq tez thā kuchh aañkh meñ ḳhuuñ thā

kuchh zehn pe chhā.ī tire hāthoñ kī hinā thī

kuchh guzrī huī umr kī yādoñ kā fusūñ thā

kuchh aate hue vaqt ke qadmoñ kī sadā thī

sadiyoñ se dhaḌaktī huī ik chaap thī dil meñ

ek ek ghaḌī sūrat-e-naqsh-e-kaf-e-pā thī

donoñ ko vahī ek bikhar jaane kā Dar thā

maiñ thā gul-e-sad-chāk thā aur tez havā thī

‘ḳhurshīd’ sar-e-shām tah-e-dāman-e-kohsār

dil thā ki vahī koh kī derīna nidā thī

Leave a Comment