Hawa-E-Ishq Mein Shamil Hawas Ki Lu Hi Rahi

havā-e-ishq meñ shāmil havas kī lū hī rahī

baḌhā bhī rabt to be-rabt guftugū hī rahī

na aa.ī haath meñ titlī-gudāz ḳhushbū kī

gul-e-badan kī mahak mere chār-sū hī rahī

vo dasht dasht sī āñkheñ chaman chaman chehra

sarāb-e-ḳhauf kī ik lahr rū-ba-rū hī rahī

tulūa ufuq pe hai ab tak vahī sitāra-e-bād

maiñ bhuul jā.ūñ use dil meñ aarzū hī rahī

hazār baar luTā husn-e-barg-o-bār magar

rag-e-shajar meñ ravāñ mauj-e-rañg-o-bū hī rahī

harī rutoñ kī huī āsmān se bārish

magar zamīn-e-tamannā lahū hī rahī

safar kī dhuup ne tan-man jalā diyā merā

madār-e-dasht meñ saa.e kī justujū hī rahī

huā na duur mire dil se zañg-e-mahrūmī

tamām raat ravāñ chashm-e-āb-jū hī rahī

abad abad se mirī ḳhud se jañg jaarī hai

ye ḳhair-o-shar kī balā mujh se dū-badū hī rahī

ubaltā rahtā hai siine meñ karb kā laavā

libās-e-ḳhāk ko bhī hājat-e-rafū hī rahī

tavāf-e-shahr-e-nigārāñ mirā hī jurm nahīñ

zan-e-havā bhī to āvāra kū-ba-kū hī rahī

Leave a Comment