• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kya Ki Rang Hathon Se Apne chhuDaen Hum

Ye Kya Ki Rang Hathon Se Apne chhuDaen Hum

ye kya ki rang hathon se apne chhuḌa.en ham

ilzam titliyon ke paron par laga.en ham

hoti hain roz roz kahan aisi barishen

aao ki sar se paanv talak bhiig jaa.en ham

ukta gaya hai saath ke in qahqahon se dil

kuchh roz ko bichhaḌ ke ab aansu baha.en ham

kab tak fuzul logon par ham tajrabe karen

kaghaz ke ye jahaz kahan tak uḌa.in ham

kirdar-saziyon men bahut kaam a.enge

bachchon ko vaqi.at baḌon ke suna.en ham

is kar-e-agahi ko junun kah rahe hain log

mahfuz kar rahe hain faza men sada.en ham

‘az.har’ sama.aten hain latifon ki muntazir

mahfil men apne sher kise ab suna.en ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Sun Le Ye Iltimas Mera dostana Hai

insha-allah-khan-insha

Hain Jo Murawwaj Mehr-O-Wafa Ke Sab Sar-Rishte Bhul Gae

KHwab-Gar KHwab Banata Hi Chala Jata Hai

gulnar-aafreen

Shajar-E-Ummid Bhi Jal Gaya Wo Wafa Ki Shakh Bhi Jal Gai

munawwar-rana

Lipstick

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet