jo sarguzisht apni ham kahenge koi sunega to kya karenge
jo yaad aengi teri baten to chup hi pahron raha karenge
jo chaho kah lo yahi khushi hai to ham bhi phir kyuun gila karenge
jo kuchh sunaegi apni qismat tumhare munh se suna karenge
kise gharaz hai phir aap ko kyuun sanam ka banda kaha karenge
jo yunhi ham ko bhulaenge vo to ham bhi yad-e-khuda karenge
abas ye har-dam ka chaunkna hai abas ye uth uth ke dekhna hai
bhala vo aise hue the kis din vahi to vaada vafa karenge
ilahi qasid abhi na aae ki ye tavaqqoa bhi hai ghanimat
kiya gar inkar saaf us ne to dil ki taskin kya karenge
lo mil bhi jaao na kuchh tumhari khata thi us dam na kuchh hamari
jo ye hi dil ke muamle hain to yunhi jhagde raha karenge
hamen to dekho ye kya hua hai ki un ke kahne ka phir yaqin hai
vo jo jhuut yunhi kaha karenge adu se yunhi mila karenge
sitam ki kiije agar shikayat to kahte hain bas tumhen bhi dekha
yahan kuchh aisi gharaz hai kis ko kisi pe ham kyuun jafa karenge
ye sach hai naseh! na hoga milna nahin hai achchha na hoga achchha
phir aap ko kya bura kahenge to apne haq men bura karenge
‘nizam’ taqrir phir abas hai javab kuchh us ka de sakoge
vo us ka har baat par ye kahna ki ham to apna kaha karenge
Leave a Reply