ham ko ḳhush aaya tira ham se ḳhafa ho jaana
sar-ba-sar ḳhvab ka ta.abir-numa ho jaana
chand ashkon ne chhupaya hai mukammal manzar
ham pe khulta hi gaya tera juda hona
apni ḳhvahish tiri yadon men bhaTakti hai kahin
jaise gul-gasht men titli ka fana ho jaana
shaḳh-dar-shaḳh subuksar havaon ka guzar
ik qafas se kisi panchhi ka raha ho jaana
ashk girte hi khile phuul mire daman men
rut badalte hi parindon ka sada ho jaana
ek saa.e ka hai ehsas mire sar pe sada
kaun sochega kabhi ḳhud se ḳhuda ho jaana
ashna ham bhi mohabbat se nahin hain hargiz
haa.e is rabt ka bhi nazr-e-ana ho jaana
Leave a Reply