gar dosto tum ne use dekha nahin hota
kahne ka tumhare mujhe shikva nahin hota
gar kahiye ki ji milne ko tera nahin hota
kahta hai ki haan haan nahin hota nahin hota
qasid ke bhi gar aane ki ummid na hoti
ik dam bhi to jiine ka bharosa nahin hota
yunhi sahi ham hijr men mar jaate bala se
bas aur to kuchh is se ziyada nahin hota
kyuun kahte ho tum mujh se ki aana nahin manzur
ye kis liye kahte ho ki aana nahin hota
go ghair burai se karen zikr hamara
itna bhi to vaan zikr hamara nahin hota
lab tak bhi kabhi harf-e-tamanna nahin aaya
aisa koi mahrum-e-tamanna nahin hota
bimari-e-hijran se to marna hi bhala tha
achchha jo main hota to kuchh achchha nahin hota
gar ghair se kuchh tum ko mohabbat nahin hoti
to ham ko ye rashk-e-qalaq-afza nahin hota
ye sach hai ki tum aaoge par dil ko karun kya
kahne ka yaqin aap ke asla nahin hota
hota hai vo sab kuchh jo suna ho kabhi tum ne
ik tere na hone se yahan kya nahin hota
ab samjhe ki yuun ham ko bulate na kabhi tum
gar aap ki mahfil ka ye naqsha nahin hota
go jhuut ho dhoka ho tasalli to hai dil ko
hota hai qalaq aur jo vaada nahin hota
maqbul tamanna to ‘nizam’ apni kahan ho
maqbul vahan uzr-e-tamanna nahin hota
Leave a Reply