
Poet
dhaḌkan ho kar dil se sazish karta huun
aur phir jiine ki farma.ish karta huun
ai ḳhaliq qismat ka taara chamka de
roz samay ke juute polish karta huun
gandum ka har daana paani piita hai
main mehnat ki itni barish karta huun
tum bhi thoḌe aur khilaune le jaao
main bhi thoḌi si gunja.ish karta huun
mausam aur ye log mujhe kuchh mohlat den
paude peḌ banenge koshish karta huun
in par mera ḳhun-pasina lagta hai
ye jo main zaḳhmon ki poshish karta huun

Leave a Reply