raushnī kī ashad zarūrat hai
aap ke paas thoḌī fursat hai
aap se jhuuT kah rahā thā koī
zindagī Dher ḳhūbsūrat hai
ek duuje ko kho diyā ham ne
aur ye ujlat nahīñ himāqat hai
us ke mere visāl meñ haa.il
aur kuchh bhī nahīñ hai ġhurbat hai
aap jaise suḳhan-nigāroñ ko
aa.ina dekhne kī hājat hai
aur kuchh ho na ho tumhāre paas
ek doshīza kī mohabbat hai
aap ko kyā ġharaz hai ‘an.am’ se
vo mohabbat hai yā musībat hai