
Aatish Indori
dil men hai kya azaab kahe to pata chale
divar khamoshi ki dhahe to pata chale
sab kuchh hi bantne ko chali aati kyuun nadi
us ki tarah se koi bahe to pata chale
bete tu janta nahin hai maan ki ahmiyat
maan ki tarah tu dard sahe to pata chale
kaise batae koi jiyo kaise zindagi
tu panchhiyon ke saath rahe to pata chale
piine ko paani bhi na ho roti ki baat kya
neta-ji bhuuk tu yuun sahe to pata chale

Leave a Reply