tu nahin hai to tire hamnam se rishta rakkha
ham ne yuun bhi dil-e-nakam ko zinda rakkha
vo mari jaan ka dushman ki sar-e-nahr-e-visal
sab ko sairab kiya bas mujhe pyasa rakkha
mere maula tiri mantiq bhi ajab mantiq hai
honT pe pyaas rakhi aankh men dariya rakkha
sab ke hathon ki lakiron men muqaddar rakh ke
rakhne vaale ne mire haath pe sahra rakkha
sab ke sab luuT rahe the tiri daulat raani
main ne to sirf tire shahr ka naqsha rakkha
jis bulandi pe ‘raza’ main ne saja.e tamghe
us bulandi pe hi TuuTa hua kaasa rakkha
Leave a Reply