ek tariqa ye bhi hai jab jiina ik na-chari ho
haath bandhe hon siine par dil bai.at se inkari ho
jashn-e-zafar ek aur safar ki saa.at ka dibacha hai
ḳhema-e-shab men raqs bhi ho aur kuuch ki bhi tayyari ho
is se kam par ram-ḳhurdun ka kaun ta.aqub karta hai
ya banu-e-ku-e-avadh ho ya ahu-e-tatari ho
daa.im hai sultani ham shahzadon ḳhak-nihadon ki
barq-o-sharar ki masnad ho ya taḳht-e-bad-e-bahari ho
ham to raat ka matlab samjhen ḳhvab, sitare, chand, charagh
aage ka ahval vo jaane jis ne raat guzari ho
Leave a Reply