ye chhoTa sa makan baghiya lagane kaun deta hai
dar-o-divar par sabza ugane kaun deta hai
kabhi nazan the ham aansu bahane kaun deta hai
magar ai chashm-e-nam ab muskurane kaun deta hai
miri ankhon ko ye sapne suhane kaun deta hai
vo aa.ega dilase dil ko jaane kaun deta hai
pata chalta hai kaise mere un ke chhup ke milne ka
ḳhabar tujh ko hamari ai zamane kaun deta hai
nahin aana nahin aana yahi zid hai yahi zid hai
vo aa to jaa.en phir dekhun ki jaane kaun deta hai
tumhen dil men basa rakha hai meri sadgi dekho
zamane men kisi ko sar chhupane kaun deta hai
ḳhud apne dil se kah lete hain tanha.i men gham apna
tumhare samne dukhḌe sunane kaun deta hai
Leave a Reply