zamin bichha.i yahan asman buland kiya
phir us ne ek sitare ko arjumand kiya
ajiib rasta khulta chala gaya mujh par
jab ek raat dar-e-ḳhvab main ne band kiya
pukarte the mujhe asman magar main ne
qayam karne ko ye ḳhak-dan pasand kiya
ajiib baat thi ab ke mubarazat men ‘nadim’
ki mujh ko meri hazimat ne fat.h-mand kiya
Leave a Reply